728x90
Ad Space

Zindagi Khwab Hai

de Mukesh
74 visitas
468x60
Ad Space

Zindagi ka ajab fasaana hai
Rote-rote bhi muskuraana hai
Zindagi ka ajab fasaana hai

Ishq mein jaanate hain jaan gayi
Phir bhi kahate hain aazamaana hai

Kaisi mushqil hai koyi kya jaane
Aag ko aag se bujhaana hai
Zindagi ka ajab fasaana hai

Dil lagaaya tha par na thi ye kabar
Maut ka ye bhi ek bahaana hai
Rote-rote bhi muskuraana hai
Zindagi ka ajab fasaana hai
Rote-rote bhi muskuraana hai